Sukh Ke Sab Sathi Dukh Me Na Koi - Lyrics in English


Sukh Ke Sab Sathi, Dukh Me Na Koi

Sukh ke sab sathi, dukh me na koi.
Mere Ram, mere Ram,
Tera naam ek saancha, dooja na koi
Sukh ke sab sathi, dukh me na koi


Jivan aani-jaani chhaaya,
jhoothi maya, jhoothi kaaya
Phir kaahe ko saari umariya,
paap ki gathari dhoi
Sukh ke sab sathi, dukh me na koi


Na kuchh tera, na kuchh mera,
yah jug jogi wala phera
Raaja ho ya rank sabhi ka,
ant ek sa hoi
Sukh ke sab sathi, dukh me na koi


Baahar ki too maati phanke,
man ka bheetar kyoon na jhenke
Ujale tan par maan kiya,
aur man ki mail na dhoi
Sukh ke sab sathi, dukh me na koi


Sukh ke sab sathi, dukh me na koi.
Mere Ram, mere Ram,
Tera naam ek saancha, dooja na koi


Sukh Ke Sab Sathi, Dukh Me Na Koi

Mohammed Rafi


Ram Bhajan



Aaye hai duniya mein jo khaalee haath jaenge.
Nekee par chalate rahe to vohee mukti paenge.

Saath na jaayenge saathee aur daulat ke ambaar.
Khoya jeevan jinake peechhe vah na dil bahalaenge.

Jidhar dekho saamane hai moh mamata kee deevaar.
Paar kar lenge jo ise vo na thokar khaenge.

Lobh mein phansakar jinhonne paap jeevan mein kie.
Haath malamal ke sabhee vo ant mein pachhataenge.

Laakhon logon ka jahaan se mit gaya naamo nishaan.
Kuchh hai kisse nekee ke jo log phir doharaenge.

Hai sabhee svaarth ke bande, koee bhee apana nahin.
Jab samaan nikala to vahee sab ke sab thukaraenge.


Ram Bhajan