Rama Rama Ratate Ratate
Rama Rama ratate ratate, biti re umariya.
Raghukul nandan kab aaoge,
Bhilani ki dagariya.
Main Shabari bhilani ki jai,
Bhajan bhaav na jaanu re.
Raam tere darshan ke kaaran,
Van mein jivan paaloon re.
Charanakamal se nirmal kardo,
Daasi ki jhopadiya.
Rama Rama ratate ratate, biti re umariya.
Raghukul nandan kab aaoge,
Bhilani ki nagariya.
Roj savere van mein jaakar,
Phal chun chun kar laoongi.
Apane prabhu ke sanmukh rakh ke,
Prem se bhog lagaoongi.
Meethe meethe beron ki main,
Bhar lai chhabariya.
Rama Rama ratate ratate, biti re umariya.
Raghukul nandan kab aaoge,
Bhilani ki dagariya.
Shyaam saloni mohini moorat,
Naiyan bich basaoongi.
Subah shaam nit uthakar mai to,
Tera dhyaan lagaoongi.
(pad pankaj ki raj dhar mastak,
Jivan saphal banaungi.)
Ab kya prabhu ji bhool gaye ho,
Daasi ki dagariya.
Rama Rama ratate ratate, biti re umariya.
Raghukul nandan kab aaoge,
Bhilani ki dagariya.
Naath tere darshan ki pyaasi,
Main abalaa ik naari hoon.
Darshan bin dou naina tarasen,
Sunalo bahut dukhaari hoon.
Hari roop mein darshan dedo,
Daalo ek najariya.
Rama Rama ratate ratate, biti re umariya.
Raghukul nandan kab aaoge,
Bhilani ki dagariya.
Rama Rama Ratate Ratate
Shri Prembhushan Maharaj
Ram Bhajan
- Shri Ramchandra Kripalu Bhajman
- Raghupati Raghav Raja Ram - Shri Ram Dhun
- Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein
- Ram Naam ke Heere Moti – Krishna Naam ke
- Suraj Ki Garmi Se Jalte Huye Tan Ko
- Hey Ram, Hey Ram, Jag Me Sacho Tera Naam
- Thumak Chalat Ramchandra
- Bhaye Pragat Kripala, Deen Dayala
- Ram Naam Ati Meetha Hai
- Sukh Ke Sab Sathi Dukh Me Na Koi
- Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi
- Ram Naam Ke Hire Moti - 2
- Sitaram Sitaram Kahiye
- Hum Ramji Ke, Ramji Hamare Hai
- Tera Ramji Karenge Beda Paar