Jagat Ke Rang Kya Dekhu - 2 - Khatu Shyam Bhajan - Lyrics in English


For जगत के रंग क्या देखूँ- Shri Vinod Agarwal, please visit – जगत के रंग क्या देखूँ- Shri Vinod Agarwal

Jagat Ke Rang Kya Dekhu – 2 – Khatu Shyam Bhajan

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Kyon bhatkoon gairon ke dar pe,
tera darbaar kafi hai.

Nahin chaahiye ye duniya ke
niraale rang dhang mujhko.
Chali jaoon main Vrindavan,
tera shringaar kafi hai

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.

Jagat ke saaj baajon se
huye hain kaan ab bahre.
Kahaan jaake sunoo bansi,
madhur vo taan kafi hai.

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.

Jagat ke rishtedaaron ne,
bichhaaya jaal maaya ka.
Tere bhakton se ho preeti,
Shyaam parivaar kafi hai.

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.

Jagat ki jhoothi raunak se
hain aankhen bhar gaee meri.
Chale aao mere mohan,
daras ki pyaas kafi hai.

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.

Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
kyon bhatakoon gairon ke dar pe,
tera darbaar kafi hai.


Jagat Ke Rang Kya Dekhu – 2 – Khatu Shyam Bhajan

Jaya Kishori Ji


Krishna Bhajan