Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala – Lyrics in English


Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala

Jari ki pagdi bandhe,
sundar aankhon wala,
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.

Zari ki pagdi bandhe, sundar aankhon waala.
Kitna sundar laage bihaari, kitnaa laage pyaara.

Kaano mein kundal saaje,
sir mor mukut viraaje.
Sakhiya pagli hoti,
jab-jab hotho pe banshi baaje.

Hain chanda yah saanvara,
taare hain gwaal baala.
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.

Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala

Jari ki pagdi bandhe, sunder aankhon waala.
Kitna sundar laage bihaari, kitnaa laage pyaara.

Lat ghunghre baal,
tere kaare kaare baal,
Sundar shyaam salona,
teri tedi medi chaal.

Hawa mein sar-sar karta,
tera pitaambar matwaala,
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.

Jari ki pagdi bandhe, sundar aankhon waala.
Kitna sundar laage bihaari, kitnaa laage pyaara.

Mukh pe maakhan malata,
tu bal ghutane ke chalta,
Dekh Yashoda bhaagya ko,
devo ka bhi man jalta.

Maathe pe tilak sohe,
aankhon mein kajal daala,
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.

Jari ki pagdi bandhe, sundar aankhon waala.
Kitna sundar laage bihaari, kitnaa laage pyaara.

Tu jab banshi bajaye,
tab mor bhi naach dikhaye,
Yamuna mein lahare uthati aur
koyal bhi koo-koo gaaye.

Haath mein kangan pahane aur
gal vaijayanti maala,
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.

Jari ki pagdi bandhe, sundar aankhon waala.
Kitna sundar laage bihaari, kitnaa laage pyaara.

Jari ki pagdi bandhe,
sundar aankhon wala,
Kitna sundar laage bihaari,
kitnaa laage pyaara.


Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala

Mridul Krishna Shastri


Krishna Bhajan