Hey Gyan Roop Bhagwan - Lyrics in English


Hey Gyan Roop Bhagwan – Prayer

Hey gyan roop Bhagwan, hum ko bhi gyaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.

Hey gyaanwan Bhagwan, hum ko bhi gyaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.


Sulajha sake hum apni jeevan ki ulajhano ko.
Pragya, ritambhara, buddhi ka daan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.
(ritambhara – Intellect, बुद्धिमत्ता)
Hey gyan roop Bhagwan….


Daata tumhaare dar par kis chij ki kami hai.
Chaaho to nirdhano ko daulat ki khaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.
Hey gyan roop Bhagwan….


Apani madad hamesha khud aap kar sake jo.
In baajuo mein shakti, hey shaktimaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.
Hey gyan roop Bhagwan….


Dar hai prabhu tumhaara rastaa na bhool jaen.
Charno mein apne hum ko bhi sthaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.
Hey gyan roop Bhagwan….


Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.
Hey gyan roop Bhagwan, hum ko bhi gyaan de do.
Karuna ke chaar chhinte, karuna nidhaan de do.


Hey Gyan Roop Bhagwan – Prayer

Sudhanshu Ji Maharaj

पण्डित दिनेश आर्य पथिक


Prayer Songs – Prayers