Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le - Lyrics in English


Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le – 2 Versions

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyaara naam hai,
Nandlala Hari ka pyaara naam hai

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai


Mor mukut sar gal ban maala,
kesar tilak lagaye
kesar tilak lagaye

Vrindavan ki kunj galin mein
sab ko naach nachayen
sab ko naach nachayen

Shri Radhe Govinda……

Jai Nandlala, Jai Gopala
Jai Nandlala, Jai Gopala


Yamuna kinaare dhenu charaave
Maadhav Madan Muraari
Maadhav Madan Muraari

Madhur muraliya jab bhi bajaave
Har le sudh budh saari
Har le sudh budh saari

Shri Radhe Govinda…….


Giridhar naagar kahati Mira,
Soor ko Shyaamal bhaaya
Soor ko Shyaamal bhaaya

Tukaram aur Naamadev ne
Viththal Viththal gaaya
Viththal Viththal gaaya

Shri Radhe Govinda….

Jai Nandlala, Jai Gopala
Jai Nandlala, Jai Gopala


Raadha shakti bina na koi
Shyamal darshan paaven
Shyamal darshan paaven

Aaraadhan kar Radhe Radhey
Kanha bhaage aaye
Kanha bhaage aaye

Shri Radhe Govinda…..

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai


Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le – 2 Versions

Hari Om Sharan



Krishna Bhajan



Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le – 2 – Lyrics

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai

Gopala Hari ka pyaara naam hai,
Nandalala Hari ka pyaara naam hai


Mor mukut sir gal ban maala,
kesar tilak lagaye
kesar tilak lagaye

Vrindavan ki kunj galin mein
sab ko naach nachayen

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyaara naam hai,
Nandalala Hari ka pyaara naam hai


Giridhar naagar kahati Mira,
Soor ko Shyamal bhaaya
Soor ko Shyamal bhaaya

Tukaram aur Naamdev ne
Viththal Viththal gaaya

Shri Radhe Govinda…..


Narasi ne khadataal baja ke
Sanwariya ko rijhaaya
Sanwariya ko rijhaaya

Shabari ne apane haathon se
Prabhu ko ber khilaaya

Shri Radhe Govinda……


Raadha shakti bina na koi
Shyaam ke darshan paaye
Shyaamal darshan paaye

Aaraadhan kar raadhe raadhe
Kaanha bhaage aaen

Shri Radhe Govinda……


Simaran ka ras jisako aaya,
Wo hi jaane man mein
Wo hi jaane man mein

Niraakaar saakaar hotare
Bhakto ke aangan mein

Shri Radhe Govinda……


Shyam salona Kunjbihaari
Natwar lilaadhaari
Natwar lilaadhaari

Antarvaasi Hari avinaashi
Laage sharan tihaari

Shri Radhe Govinda, man bhaj le
Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyaara naam hai,
Nandalala Hari ka pyaara naam hai


Krishna Bhajan