Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani – Lyrics in English


Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Darbaar tera darbaaron mein,
ek khaas ehamiyat rakhta hai.

Usko vaisa mil jaata hai,
jo jaisi niyat rakhtaa hai.


Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Bada pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyaara saja hai tera dvaar Bhawani

Bhakton ki, yahaan bhakton ki
Tere bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Oonche parbat, bhavan niraala
Oonche parbat, bhavan niraala
Aa ke shish navaave sansaar, Bhawani
Shish navaave sansaar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Jagamag jagamag jyot jage hai
Jagamag jagamag jyot jage hai
Tere charano mein Ganga ki dhaar, Bhawani
Charanon mein Ganga ki dhaar, Bhawani

Tere bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani
Bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani


Laal chunariya, laal laal chooda
Laal chunariya, laal laal chooda
Gale laal phoolon ke sohe haar, Bhawani
Laal phoolon ke sohe haar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Saavan mahina maiya jhoola jhoole
Saavan mahina maiya jhoola jhoole
Dekho roop kanjako ka dhaar, Bhawani
Roop kanjako ka dhaar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Pal mein bharati jholi khaali
Pal mein bharati jholi khaali
Tere khule daya ke bhandaar, Bhawani
Khule daya ke bhandaar, Bhawani

Tere bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani
Bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani


Hum sab ko hai tera sahaara
Karade saral ka beda paar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani

Tere bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Bhakton ki, yahaan bhakton ki
Tere bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani
Bhakton ki lagi hai kataar, Bhawani

Bada Pyara saja hai tera dwar, Bhawani
Pyara saja hai tera dwar, Bhawani


Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani


Durga Bhajan