O Palan Hare Nirgun Aur Nyare

O Palan Hare Nirgun Aur Nyare – Lyrics in English


O Palan Hare Nirgun Aur Nyare

O Palan Hare, nirgun aur nyare,
tumhare bin hamra kauno nahi
Hamari ulajhan, sulajhao Bhagwan,
tumhare bin hamra kauno nahi


Tum hi hamka ho sambhaale,
tum hi hamre rakhavaale
tumhare bin hamaraa kauno nahi
tumhare bin hamaraa kauno nahi

Chanda mein, tum hi to bhare ho chandni
Suraj mein, ujaala tum hi se
Yah gagan hain magan,
tum hi to diye ise taare
Bhagwan, yah jivan tum hi na sawaaroge,
to kya koi savaare

O Palan Hare, nirgun aur nyare,
tumhare bin hamra kauno nahi
tumhare bin hamra kauno nahi


Jo suno to kahe prabhuji hamari hai vinati

Dukhi jan ko dhiraj do,
haare nahi vo kabhi dukhase
Tum nirbal ko raksha do,
rahen paye nirbal sukh se

Bhakti ko shakti do
Bhakti ko shakti do
Jag ke jo svaami ho,
itni to araj suno

Hain path main andhiyaare,
de do varadaan mein ujiyaare
O Palan Hare, nirgun aur nyare,
tumhare bin hamra kauno nahi

Hamari ulajhan, sulajhao Bhagwan,
tumhare bin hamra kauno nahi


O Palan Hare, nirgun aur nyaare
tumhare bin hamra kauno nahi
Hamari ulajhan, sulajhao Bhagwan,
tumhare bin hamra kauno nahi

O Palan Hare, nirgun aur nyare,
tumhare bin hamra kauno nahi

O Palan Hare….
O Palan Hare….


O Palan Hare Nirgun Aur Nyare

Lata Mangeshkar


Krishna Bhajan



Bhgwan Krishna se Prarthnaa

O paalan haare, nirgun aur nyaare
tumhare bin hamaraa kauno naahi

Yah satya hai, hai aap mujh mein
aur main aap mein.
Jal mein bhari jyo bhaap hai,
vah bhi bhara hai bhaap mein.

Ham aap dono ek hai,
hai bhinnata kahiye kahaa.
Jis mein nahin hai aap,
aisa tatva tribhuvan mein kahaa?

To bhi yahi chitt chaah hai,
seva karoon nit aap ki.
Sachchi lagan ho he prabho,
tav naam ke shubh jaap ki.

Dekha karoo sundar tumhaari
moorti hi man-mohani.
Sunataa rahoo saras katha,
bas aapaki hi sohani.

Isase adhik sukh hai nahi,
yadi ho na loonga main kabhi.
ishvar bhakti mein hi mujhe,
anand milata hai sabhi.

Hey bhagvan, sevak ki praarthana
yah poorn kripaya keejiye.
Daasaanu-daaso mein dayaakar naam
mera likh leejiye.

O paalanahaare, nirgun aur nyaare
tumhare bin hamara kauno naahin.
Hamari ulajhan, sulajhao bhagavan
tumhare bin hamara kauno naahin.


Krishna Bhajan