Mujhe Shyam Sunder Ki Dulhan Bana Do - Lyrics in English


Mujhe Shyam Sunder Ki Dulhan Bana Do

Aise var ko kya varu,
Jo janme aur mar jaaye
Variye Girdhar laal ko,
Chhoo lo amar ho jaaye


Aao meri sakhiyo, mujhe mehandi laga do
Mehandi laga do, mujhe sundar saja do

Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do


Satasang me meri baat chalai
Sataguru ne meri kinhi re sagai

Unko bula ke hathaleva to kara do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do


Aisi pahani choodi jo kabahoo na toote
Aisa varu dulha jo kabahoo na chhoote

Atal suhaag ki bindiya laga do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do


Bhakti ka surama main aankh me lagaoongi
Duniya se nataa tod, unhi ki ho jaoongi

Sataguru ko bula ke phere to padava do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do


Baandh ke ghungharoo mai unko rijhaungi
Le ke ik taara mai Shyam Shyam gaoongi

Sakhiyon ko bulaake doli to sajava do
Sataguru ko bula ke bida to kara do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do


Aao meri sakhiyo, mujhe mehandi laga do
Mehandi laga do, mujhe sundar saja do

Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do
Mujhe Shyam Sundar ki dulhan bana do

Mujhe Shyam Sunder Ki Dulhan Bana Do

Shri Mridul Krishna Shastri


Shri Devkinandan Thakur


Krishna Bhajan