Kabhi Fursat Ho To Jagdambe- Lyrics in English


Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana.

Jo rukha sukha diya hame,
kabhi us ka bhog laga jaana.

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana

Na chhatr bana saka sone ka,
na chunri ghar mere taaron jadi

Na pede barfi meva hai, Maa,
bas shraddha hai nain bichhaye khadi

Is shraddha ki rakh lo laaj hey Maa,
is arji ko na thukaraa jaana

Jo rookha sookha diya hamein,
kabhi us ka bhog laga jaana

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana

Jis ghar ke diye me tel nahin,
vahaan jyot jalaau mai kaise.

Mera khud hi bichhona dharti par,
teri chauki sajaoon mai kaise.

Jahaan mai baitha vahi baith ke Maa,
bachchon ka dil bahlaa jaana.

Jo rukha sukha diya hamen,
kabhi us ka bhog laga jaana.

Kabhi fursat ho to Jagadambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana.

Tu bhaagya banaane wali hai,
Maa mai takadir ka maara hoon.

He daati sambhaalo bhikhaari ko,
aakhir teri aankh ka taara hu.

Mai doshi, tu nirdosh hai Maa,
mere dosho ko tu bhula jaana.

Jo rookha sookha diya hamein,
kabhi us ka bhog laga jaana

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana.

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana.

Jo rukha sukha diya hame,
kabhi us ka bhog laga jaana.

Kabhi fursat ho to Jagdambe,
nirdhan ke ghar bhi aa jana


Kabhi Fursat Ho To Jagdambe


Durga Bhajan