Hey Shiv Pita Parmatma – Lyrics in English


Hey Shiv Pita Parmatma

Hey shiv pita parmatma
karate hai teri prarthana.
Gyaan ka sooraj hai too
saare jagat ki aatma.

Shiv hai akshar, shiv ganit hai,
shabd shiv, gun-gaan shiv,
shiv hai vidya, dhyaan shiv hai,
gyaan shiv, vigyaan shiv.

Kanth shiv, vaani bhi shiv hai,
shiv hamaari chetana.

Hey shiv pita parmatma
karate hai teri prarthana.
Gyaan ka sooraj hai too
saare jagat ki aatma.

Aankh ki jyoti bhi shiv hai,
haath ki shakti bhi shiv,
man bhi shiv, mastak bhi shiv,
shradhda bhi shiv, bhakti bhi shiv.

Shiv hi shiv hai, ho rahi hai
shiv teri aradhana.

Hey shiv pita parmatma
karate hai teri prarthana.
Gyaan ka sooraj hai too
saare jagat ki aatma.

Shiv hai akshat, shiv hai shikshak,
mitr shiv, bhraata bhi shiv,
shiv vidhaata, shiv hai daata,
shiv pita, maata bhi shiv.

He prabhu kan kan tumhaari
kar raha hai vandana.

Hey shiv pita parmatma
karate hai teri prarthana.
Gyaan ka sooraj hai too
saare jagat ki aatma.


Hey Shiv Pita Parmatma

Anuradha Paudwal

Hariharan


Shiv Bhajan