Hey Gajavadana, Gauri Nandana - Lyrics in English


Hey Gajavadana Gauri Nandana – Prayer

Hey Gajavadana Gauri Nandana
raksha karo sabki

Mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki

Hey Gajavadana Gauri Nandana
raksha karo sabki
Mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki


Riddhi Siddhi ke data
tum ho vidya ke swami
Vighna vinashak Ekdant ho
tum antaryaami

Chintamani ka kare jo chintan
chinta haro uski

Hey Gajavadana Gauri Nandana
raksha karo sabki
Mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki


Vishwavidhata vishwavinayak
jag ke paalanhaare
Naad brahma ke tum nirmata
sur gana tum par vaaren

Tum hi prerna, tum hi chetna
aas hai darshan ki

Hey Gajavadana Gauri Nandana
raksha karo sabki
Mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki


Hey Gajavadana Gauri Nandana
raksha karo sabki
Mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki


Hey Gajavadana Gauri Nandana – Prayer

Asha Bhosle


Ganesh Bhajan