Tere Poojan Ko Bhagwan - Lyrics in English


Tere Poojan Ko Bhagwan

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Kis ne jaani teri maaya,
kis ne bhed tihaara paaya.

Rishi muni haare kar kar dhyaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere poojan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Kis ne dekhi teri soorat,
kaun banaave teri moorat.

Tu hai niraakaar Bhagwan,
bana man mandir aalishaan.

Tere poojan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Parvat ghaati nadi samandar,
tu ramata in sab ke andar.

Tere bas mein sakal jahaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Tu hain van mein, tu praanan mein,
tu hai taru taru ke paatan mein.

Koi na dooja tere saamaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Jal mein thal mein tu hi samaaya,
sab jag tera jalava chhaaya.

Tu hai, ghat ghat ke daramiyaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Tu raaja ko rank banaata,
tu bhikshuk to takhat bithaata.

Teri lila ish mahaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan

Sooraj teri mahima gaave,
chanda tujh par bali bali jaave.

Ishvar kar sab ka kalyaan,
bana man mandir aalishaan.

Tere pujan ko Bhagwan,
bana man mandir alishan


Tere Poojan Ko Bhagwan

Tripti Shaqya


Krishna Bhajan