Kanha Re Thoda Sa Pyaar De - Lyrics in English


Kanha Re Thoda Sa Pyaar De

Kanha re thoda sa pyar de,
charno mein baitha ke taar de

O gori, ghoonghat utaar de,
Prem ki bhiksha jholi mein daar (daal) de

Kanha re thoda sa pyar dey,
charano mein baitha ke taar dey


Prem gali mein aake gujariya
Bhool gai re ghar ki dagariya
Jab tak saadhan, tan man jeevan
Sab tujhe arpan, pyaare Saanwariya

Maaya ka tumne rang aisa daala,
Bandhan me bandh gaya,
baandhane vaala

Kaun rama pati, kaisa Ishwar,
Mai to hu Gokul ka gwaala

Gwala re thoda sa pyaar de
Gwalin ka jivan sanwaar de


Aatma Parmatma ke
milan ka madhumaas hai
Yahi maharas hai,
yahi maharas hai

Tribhuvan ka swami,
bhakto ka daas hai
Yahi mahaaras hai,
yahi mahaaras hai

Krishna kamal hai,
Radhe suwaas hai
Yahi maharaas hai,
yahi maharaas hai

Iske avlokan ki,
yug yug ko pyaas hai
Yahi mahaaraas hai,
yahi mahaaraas hai

Kanha re thoda sa pyar de,
charano mein baitha ke taar de


Tu jhootha, vachan tere jhoothe
Muska ke bholi Radha ko loote

Mai bhi hu sachcha, vachan mere sachche
Prit meri pakki, tumhaare man kachche

Jaise tu rakhkhe waise rahoongi
Doongi pariksha peer sahoongi

Swargon ke sukh bhi, mithe na laage
Tu mil jaaye to moksh nahi maange

Kanha re thoda sa pyar de,
charano mein baitha ke taar de


Srishti ke kan kan
mein iska aabhaas hai
Yahi maharas hai,
yahi maharas hai

Taaro mein nartan,
phoolon mai ulhaas hai
Yahi mahaaras hai,
yahi mahaaras hai

Murli ki pratidhvani
dishaao ke paas hai
Yahi mahaaras hai,
yahi mahaaras hai

Adhyaatma ki chetnaa ka
sabme vikaas hai
Yahi mahaaraas hai,
yahi mahaaraas hai


Kanha re thoda sa pyar de,
charno mein baitha ke taar de

O gori, ghoonghat utaar de,
Prem ki bhiksha jholi mein daal de

Kanha re thoda sa pyar de,
charano mein baitha ke taar de


Kanha Re Thoda Sa Pyaar De


Krishna Bhajan