Aaj Mangalwar Hai, Mahaveer Ka Vaar Hai - Lyrics in English


Aaj Mangalwar Hai Mahaveer Ka Vaar Hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
Uska beda paar hai

Chaitra sudi poonam mangal ka,
janam veer ne paaya hai
Laal langot gada haath mein,
sir par mukat sajaaya hai

Shankar ka avtaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
Uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahavir ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
Uska beda paar hai

Brahma ji se brahm gyaan ka,
bal bhi tumne paaya hai
Ram kaaj Shivshankar ne
vaanar ka roop dhaariya hai

Lila aparampaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalvaar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Baalapan mein Mahaveer ne
hardam dhyaan lagaaya hai
Shram diya rishiyon ne tumako
Brahm dhyaan lagaaya hai

Ram naam aadhaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Ram janam hua Ayodhya mein,
kaisa naach nachaaya hai
Kaha Ram ne Lakshman se,
yeh vaanar man ko bhaaya hai

Ram charan se pyaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Panchavati se Mataa ko jab
Ravan lekar aaya hai
Lanka mein jaakar tumane
Mata ka pata lagaaya hai

Akshay ko diya maar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Meghnaad ne brahma paash mein
Tumako aan phansaaya hai
Brahpaash mein phans karake
Brahma ka maan badhaaya hai

Bajarangi vaaki maar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Lanka jalayi aapne jab
Ravan bhi ghabaraaya hai
Shri Ram lakhan ko aan kar
Maa ka sandesh sunaaya hai

Sita shok apaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Shakti baan lagyo lakshman ke
Booti lene dhaaye hain
Laakar booti Laxman ji ke
Tumne praan bachaaye hain

Ram Lakhan se pyaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Ram charan mein Mahaveer ne
hardam dhyan lagaaya hai
Ram charan mein Mahaveer ne
hardam dhyaan lagaaya hai

Siney mein Ram darabaar hai,
Mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Aaj Mangalwar Hai Mahaveer Ka Vaar Hai

Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai,
yeh sachcha darbaar hai
Sachche man se jo koi dhyaave,
uska beda paar hai

Bolo Bajrangbali ki Jai
Siyaavar Ramchandra ki Jai


Aaj Mangalwar Hai Mahaveer Ka Vaar Hai

Hariharan, Gulshan Kumar


Hanuman Bhajan