Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi – Lyrics in English


Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi

Aaj ashtami ki pooja karwaongi
Jyot maiya ji ki paavan jalaongi

He maiya, he maiya, sada ho teri jai maiya
Man ki muraade main paaungi

Aaj ashtami ki pooja karwaungi
Jyot maiya ji ki paavan jalaungi


Chhoti chhoti kanchago ko
ghar apne bulaoongi

Charan dhulaoon, tilak lagaoon,
chunri laal udhaoongi

Hey maiya, hey maiya, paar laga meri naiya
Mahima sada mai teri gaoongi

Aaj ashtami ki pooja karwaaungi
Jyot maiya ji ki paavan jalaaungi


Ashtami ka din to hota hai
muraade paane ka

Khol ke rakhati dvaara maiya
mamta bhare khajaane ka

He maiyaa, he maiyaa, mai bhi talungi na maiya
Jholi apni main bharvaaungi

Aaj ashtami ki pooja karwaaongi
Jyot maiya ji ki paavan jalaaongi


Asht bhujao wali mata,
asht siddhiyo ka var de.

Satya dagar pe chalane ko,
jivan mera sundar kar de.

He maiya, he maiya, paar laga meri naiya
Mahima sada mai teri gaoongi

Aaj ashtami ki puja karwaongi
Jyot maiya ji ki paavan jalaongi


Wo hai kismat wale jinko
pyaar tera mil jaata hai

Uska ho kalyaan tere
man ko jo bha jaata hai

He maiya, he maiya,
meri khabar bhi le maiya
Tera upkaar na bhulaungi

Aaj ashtami ki pooja karwaongi
Jyot maiya ji ki paavan jalaongi

He maiya, he maiya,
sada ho teri jay maiya
Man ki muraade mai paaungi

Aaj ashtami ki pooja karwaongi
Jyot maiya ji ki paavan jalaongi


Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi


Durga Bhajan