Ab Meri Bhi Suno, Hey Maat Bhawani – Lyrics in English


Ab Meri Bhi Suno, Hey Maat Bhawani

Brahma ji ko aan chhudaaya,
madhu-kaitab ke bal se
Maa ne roop dhar Shiv ko bachaaya,
bhasmaasur ke chhal se

Sab devo par hui sahai,
Maa dushton ke dal se
aur bhakto ki hai pyaas bujhai
charan Ganga ke jal se


Ab meri bhi suno, he maat Bhawani
Ab meri bhi suno, he maat Bhawani

Mai tera hi baalak hu, jagat maharani
Ab meri bhi suno, hey maat Bhawani


Sinh savaari karane wali,
teri shaan niraali hai
Tu hai Sharda, tu hi Lakshmi,
tu hi to Mahakali hai

Shumbh-nishumbh paapi toone sanghaare
Mahishaasur ke jaise tumne hi maare

Bhakto ke saare sankat tumne hi taare,
mai bhi hu aaya maiya tere dwaare
Tera yash hai ujwal nirmal, jyu Ganga ka paani

Ab meri bhi suno, he mat Bhavaani
Mai tera hi baalak hoon, jagat mahaaraani
Ab meri bhee suno


Brahma Vishnu Shankar ne bhi
Aadyashakti ko maana hai
Jay Jagdambe, jai Jagadambe
ved puraan bakhaana hai

Shakti se hi seva hoti,
shakti se hi maan hai
Shakti se hi vijayee hota
har insaan hai

Shakti se hi bhakti hoti,
bhakti me kalyaan Maa
De do mujhe bhi bhakti,
gaau gungaan Maa
Kaise mai gunagaan karoon Maa,
mai to hu agyaani

Ab meri bhi suno, he mat Bhawani
mai tera hi baalak hoon, jagat mahaaraani
ab meri bhi suno


Kan kan me hai dekhi
sabne kaise jyot samaayi hai
Bhid pade jab bhakto pe,
Maa daudi daudi aai hai

Meri pukaar sun lo,
darsh dikha do
Kar do daya ki drishti,
gale se laga lo

Bhakto ka maiya tumne bhaag savaara
Aaya sharan me bhakt ek dukhiyaara
Kar de bhakt pe o maiya meharbaani

Ab meri bhi suno, he mat Bhawaani
mai tera hi baalak hu, jagat mahaaraani
ab meri bhi suno


Ab Meri Bhi Suno, Hey Maat Bhawani


Durga Bhajan