Sant Kabir Dohe – Guru Mahima


Sant Kabir ke Dohe – Guru Mahima

Kabir ke Dohe - Guru ka Mahatva

For Sant Kabir Dohe on Guru Mahima with Meaning in Hindi:
गुरु गोविंद दोऊँ खड़े, काके लागूं पाय।
बलिहारी गुरु आपने, गोविंद दियो बताय॥
कबीर दोहे (अर्थ सहित) हिंदी में पढ़ने के लिए बटन पर क्लिक करे >>


Guru Govind dou khade,
kaake laagoon paay.
Balihaari Guru aapne,
Ggovind diyo bataay.


Guru aagya maanai nahin,
chalai atapati chaal.
Lok ved dono gaye,
aaye sir par kaal.


Guru bin gyaan na upajai,
Guru bin milai na mosh.
Guru bin lakhai na satya ko,
Guru bin mite na dosh.


Guru kumhaar shish kumbh hai,
gadhi gadhi kaadhe khot.
Antar haath sahaar dai,
baahar baahai chot.


Guru paaras ko antaro,
jaanat hain sab sant.
Vah loha kanchan kare,
ye kari ley mahant.


Guru samaan daata nahin,
yaachak sish samaan.
Tin lok ki sampada,
so Guru dinhi daan.


Guru sharanagati chhaadi ke,
karai bharosa aur.
Sukh sampati ko kah chali,
nahin narak mein thaur.


Kabir maaya mohini,
jaisi mithi khaand.
Sataguru ki kirapa bhi,
nahin tau karati bhaand.


Yah tan vish ki belari,
Guru amrt ki khaan.
Sis diye jo Guru milai,
to bhi sasta jaan.


Satguru ki mahima anant,
anant kiya upakaar.
Lochan anant ughaadiya,
anant dikhaawanhaar.


Sab dharati kaagad karoon,
likhani sab banaraay.
Saat samudra ki masi karoon,
Guru gun likha na jaay.

For Hindi Meaning of Sant Kabir ke Dohe
गुरु गोविंद दोऊँ खड़े, काके लागूं पाय।
बलिहारी गुरु आपने, गोविंद दियो बताय॥
कबीर दोहे (अर्थ सहित) हिंदी में पढ़ने के लिए बटन पर क्लिक करे >>

For more bhajans from category, Click -

Kabir ke Dohe and Kabir Bhajans

Bhajan List

Kabir Bhajans
Kabir Dohe
Bhajan, Aarti, Chalisa, Dohe – List

Kabir Bhajan Lyrics

Bhajans and Aarti

Bhakti Geet Lyrics