Bhagwan Meri Naiya Tum Paar Laga Dena - Lyrics in English


Bhagwan Meri Naiya Tum Paar Laga Dena

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena
Ab tak to nibhaaya hai,
aage bhi nibha dena

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena

Ab tak to mai khoya tha,
sansaar ke jaalo mein

Karuna karake tumane,
mujhe hosh dilaaya hai

Tere charano mein hoon pada,
mujhe god utha lena

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena

Mai khoj raha tha amrit,
in vish ke pyaalo mein

Ek jhalak teri jo mili,
to saar ye paaya hai

Maaya ki har ek shay mein,
too hi to samaaya hai

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena

Ab khel raha hoon,
jo wo khel tumhaara hai

Ab duniya mein koi,
apana na paraaya hai

Sab saup diya tujh ko,
kuchh bhi na bachaaya hai

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena
Chaahe paar laga dena ya,
manjhadhaar phansa dena

Bhagwan meri naiya,
tum paar laga dena

Bhagwan Meri Naiya Tum Paar Laga Dena

Dr. Anil Joshi


Prayer Songs – Prayers