Aaja Kalyug Me Leke Avtar O Govind - Lyrics in English


Aaja Kalyug Me Leke Avtar O Govind

Aaja kalyug me leke avtar, O Govind
Aaja kalyug me leke avtar, O Govind

Apane bhakto ki
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind


Yamuna ka paani tose karata sawal hai
Tere bina dekh zara kaisa bura haal hai

Yamuna ka paani tose karta savaal hai
Tere bina dekh zara kaisa bura haal hai

Kaahe toone tod liya pyaar, O Govind
Kaahe toone tod liya pyaar, O Govind

Apane bhakto ki
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind


Nikala hai sava man sona jis kokh se
Gaayen bechaari mare chaare bina bhookh se

Nikala hai sava man sona jis kokh se
Gaayen bechaari mare chaare bina bhookh se

Gaiyaa ko diya dutkaar, O Govind
Gaiyaa ko diya dutkaar, O Govind

Tere bhakto ki
Tere bhakto ki sunale pukaar o mohan
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind


Ghar ghar mein maakhan ki jagah sharaab hai
Kaliyugi gopiyaan to bahut hi kharaab hai

Ghar ghar mein maakhan ki jagah sharaab hai
Kaliyugi gopiyaan to bahut hi kharaab hai

Dharm to bana vyapaar, O Mohan
Dharm to bana vyapaar, O Mohan

Apane bhakto ki
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind


Ab kisi Draupadi ki bachati na laaj re
Bigdaa jamaana bhaye ulate hi kaaj re

Ab kisi Drauadi ki bachati na laaj re
Bigdaa jamaana bhaye ulate hi kaaj re

Kanso ki bani sarakaar, O Govind
Kanso ki bani sarakaar, O Govind

Apane bhakto ki
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind
Apne bhakto ki sun le pukar, O Govind


Aaja Kalyug Me Leke Avtar O Govind


Krishna Bhajan