Jinke Man Me Base Shri Ramji - Lyrics in English


Jinke Man Me Base Shri Ramji

Jinke man me base Shri Ramji
Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji


Jab bhakton par vipada aai,
tab aaye Hanumant gosai
Kripa Ram bhakto par karate,
unki pida ko har lete
Jay Kapish balwaan ki

Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji
Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji


Ram katha ke adbut naayak,
Raam-doot bhakto ke sahaayak
Jay jay jay prabhu hitkaari,
dhyaan karu nit mangal-kaari
De do sharan Hanuman ji

Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji
Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji


Bhakti jahaan Shri Ram ki hoti,
shakti wahaa Hanuman ki hoti
Vighna kaal sab door mitaate,
manokaamana poorna karaate
Jay Bajarang Mahaan ki

Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji
Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji


Nishadin karu tumhaari pooja,
tum sam Hanumat koi na dooja
Badan sinduri jay kapish jay,
sanmukh raho, jhukaoo shish main
Jay jay kripa nidhaan ki

Unki raksha kare Hanuman ji
Jinke man me base Shri Ramji
Unki raksha kare Hanuman ji


Jinke Man Me Base Shri Ramji

Anup Jalota


Ram Bhajan