Om Jai Jagdish Hare Aarti - Lyrics in English


Om Jai Jagdish Hare

Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt jano ke sankat,
daas jano ke sankat, kshan mein door kare
Om Jai Jagadish Hare


Jo dhyaave phal paave, dukh bin se man ka
Swami dukh bin se man ka
Sukh sampati ghar aave, kasht mite tan kaa
Om Jai Jagadish Hare


Maat pita tum mere, sharan gahoon (main) kiski
Swami sharan gahoon kiski
Tum bin aur na dooja, aas karu main kiski
Om Jai Jagadish Hare


Tum puran parmatma, tum antaryami
Swami tum antaryami
Paar brahma parameshwar, tum sabke swami
Om Jai Jagadish Hare


Tum karuna ke saagar, tum paalan karta
Swami tum paalan karta
Main moorakh khal-khami, kripa karo bharta
Om Jai Jagadish Hare


Tum ho ek agochar, sab ke praan pati
Swami sab ke praan pati
Kis vidhi miloon dayamaya, tum ko main kumati
Om Jai Jagadish Hare


Deen-bandhu dukh-harta, tum rakhshak mere
Swami tum rakhshak mere
Apne haath badhao, dwaar padaa tere
Om Jai Jagadish Hare


Vishay vikaar mitaao, paap haro deva
Swami paap haro deva
Shradha bhakti badhao, santan ki seva
Om Jai Jagadish Hare


Tan man dhan sab kuch hai tera
(Or Tan man dhan jo kucha hai, sab hee hai tera,)
Swami sab kuch hai tera
Tera tujhko arpan, kya lage mera
Om Jai Jagadish Hare


Om jai Jagadish hare
Swami jai Jagadish hare

Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt jano ke sankat,
daas jano ke sankat, kshan mein door kare
Om Jai Jagadish Hare


Om Jai Jagdish Hare

Anuradha Paudwal


Krishna Bhajan



Shraddha Suman

Chhoo lene do prabhu charano ko,
tere dar ke pujaari naath hain ye.
Kar lene do darshan aankhon ko,
ab daras ki pyaasi naath hai ye.

Hai dhanya jugal pad aaj bhaye,
jo chalakar tere dar aaye.
Prabhu charanan mein jo ye shish jhuka,
dhanya bhaya ab maath hain ye.

Aaj kritaarath vaani hai,
bhagavaan ka jo gunagaan kiya.
Hai naath tera poojan karake,
saphal bhaye ab haath hain ye.

Karn hamaare dhanya bhaye,
prabhu naam sune jo aa kar ke.
Charan kamal jo man mein dhare,
hai dhany bhaya haday naath hai ye.

Chaah nahin kuchh aur hamein,
man mandir mein tum aan bason.
Kan kan mein prabhu daras mile,
bhakt ki ab bas vinati hai ye.

Om Jai Jagdish Hare,
Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt jano ke sankat
daas jano ke sankat
Kshan mein door kare
Om Jai Jagadish Hare


Man mein chaah yahi hai,
seva karoon nit aapaki.
Sachchi lagan ho he prabho,
tav naam ke shubh jaap ki.

Dekha karoon sundar tumhaari
moorti hi manamohini.
Sunata rahoon saras katha
bas aapaki hi sohani.

Isase adhik sukh hai nahin,
yadi ho na loonga main kabhi.
Bhagavad charanon mein hi
mujhe aanand milata hai sabhi.

He prabhu, sevak ki praarthana
yah poorn kripaya kijiye.
Sharan mein mai aapake hoon,
bhavsagar se taar dijiye


Krishna Bhajan